Us shaksh se uski mohabbat badhti gai,
Uski dunia us shaksh tak simatti gai……
Wo use apna banane ki koshish karta raha,
Aur wo usse door hatti gai……
uski masoom si zindagi,
Ek beza’ar safar bankar guzarti gai………
Uske sare sitam use ganwara lagne lage,
Jab-jab uski musqurahat dilo me bikharti rahi……
Sare faryaadain , sare duaaen ansuni rahi,
Uski aahen sajden bankar bilakhti rahi…….
Khwaaish dil ki dil me hi rah gai,
zindagi uski khamosh, gumnaam bankar guzarti gai……..
Phir yun hua ki,
Kabhi mausam baharon ka to kabhi fizaon ka,
Bas use sochna,
Bas use daikhna,
Bas use chahna,
Bas use manana,
Bas usi se ruthna,
Apni mohabbat bar bar use jatana,
Bana wo shaksh bas usi ka diwana,
Ratain bhi uske naam,
din bhi uske naam,
Uske naam hi the sab subah-o-shaam,
Jimmedar tha wo shaksh,
“AMAN”,
Khud apni khataon ka,
Wo dosh kise deta zafaao’n ka………….
Story incomplete…..
-Gumnaam-Shayar
khamosi part 3
Post a Comment